WELCOME

THANKS FOR VISITING MY BLOG...

Saturday, 18 May 2013

Ghar ki woh shaam..........

sayings from ma heart

after a long time ....... :)
hope so u'll like it




Thak sa gaya hu is duniya se bhaagte bhaagte,
Jin raasto se sab kuch sikha hai ab unhi saare raaasto ko chor k jaane ka jee chahta hai




Imtehaan deti hai aur leti b hai zindagi,
Par ab kuch aisa raha hi nahi jiske liye ye saaari hade tod di jaae
Ab to zindagi se imtehaan leene ka jee chahta hai.

Buzdil the wo log ya the bade bhole jin hone apno se jyaada gairo ki baati suni
Par aaj b un haatho ko ja k thaamne ka jee chahta hai.


Bheed si hai agar kahe to ye duniya saari , kabhi hum aap me kho jaate hai aur kabhi aap hum me
Lekin na jaane kyu aaj aapki aur humari un yaado me kho jaane ko jee chahta hai.

Kehte hai ye duniya uski hai hoti hai jisko iski fikar nahi hoti
"jo apne hi dhun me chala jaata hai "
Lekin janaab saara khel dimag se hi nahi dil se bhi khela jaata hai
Aisa us insaan ko samajhne ka jee chahta hai.


Kabhi lagta hai ki Akela sa pad gaya hu duniya me
Par fir mujhe mere mummy , papa , bhai aur dosto ka khayaal aata hai
Mummy k aanchal me aaram se soone ka
Papa k pairo se din ki shuruwaat karne ka
Aur
Bhai aur dosto ko kas k gale lagane ka jee chahta hai .....


Tham to nahi jaati zindagi kisi k aane ya jaane se....
Kuch b nahi hota aansu bahane se.....
Wo log b kya the jo bikhar jaate ye sab fasano se....
kal wo samjhate the hume , Aaj  ye sab hume  use samjhaane ka jee chahta hai


Wo shaam ki tanhaai mere paas aaya karti hai
Mere paas baith kar wo roya karti hai
Samay nikal jaata hai use samjhaane me par na jaane aaj b wo kiska intezaar kiya karti hai
Kehti hai intezaar hi sahi , kabhi to khatm hoga ye ....
Bas ye baat us tak pahuchane ko jee chahta hai.....

Hasi k piche ka sach...
Sharir k andar ka insaan....
Dil k andar ki baate...
Ankho se ki gai wo waade ....
Kisi ko ye baate bataane ka jee chahta hai........



Fikar nahi hai kisi ko b yaha , ye kaise seher ho chala hai mera
Logo ne tod diye hai rishte , chal pade hai apne is raftaar me khud ko barbaad karne
Kal to humne thama nahi lekin aaj un haatho ko thaam k roke rehne ka jee chahta hai....



Ab to har chehre ko haste hue dekhne ka jee chahta hai.......
Kama liya hai bahut pyaar humne ab is pyaar ko sab me baant dene ka jee chahta hai......................




"Aana uska kaam hai jaana uska farz de jayega itne yaade na utar paaoge wo karz "

1 comment: